ab  kyā  mileñ  hasīnoñ  se  ham  gosha-gīr  haiñ
ġhārat-garoñ  ne  luuT  liyā  hai  faqīr  haiñ
ḳhāliq  bachā.e  zohra-jabīnoñ  kī  chaah  se
sunte  haiñ  do  farishte  abhī  tak  asiir  haiñ
chaar  āñkheñ  ham  ne  kī  to  haiñ  ġhussa  na  kījiye
saa.il  nahīñ  faqīr  nahīñ  rāhgīr  haiñ
dar  par  tumhāre  baiThe  haiñ  sar  par  hai  āftāb
ham  ḳhāksār  mālik-e-tāj-o-sarīr  haiñ
vo  bhī  to  ro.eñ  ai  asar-e-giryā  ek  din
jin  kī  nigāh  meñ  mire  aañsū  haqīr  haiñ
kah  deñge  saaf  saaf  vo  dekheñ  to  aa.ina
ye  maañg  hai  lakīr  ham  is  par  faqīr  haiñ
nazroñ  se  kyā  girā.eñge  'tāhir'  adū  mujhe
fazl-e-ḳhudā  se  dast-e-ḳhudā  dast-gīr  haiñ