Suroor Jahanabadi

ba-KHuda ishq ka aazar bura hota hai

Suroor Jahanabadi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1873-1910

ba-ḳhudā ishq āzār burā hotā hai

rog chāhat burā pyaar burā hotā hai

jaañ pe aa bantī hai jab koī hasīñ bantā hai

haa.e ma.ashūq-e-tarahdār burā hotā hai

ye vo kāñTā hai nikaltā nahīñ chubh kar dil se

ḳhalish-e-ishq āzār burā hotā hai

TuuT paḌtā hai falak sar pe shab-e-furqat meñ

shikva-e-charḳh-e-sitamgār burā hotā hai

aa jaatī hai hasīnoñ pe tabī.at nāseh

sach to ye hai ki dil-e-zār burā hotā hai

Top Urdushayar.com