Ghulam Murtaza Rahi

baDha jab uski tawajjoh ka silsila kuchh aur

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937

baḌhā jab us tavajjoh silsila kuchh aur

ḳhushī se phail gayā ġham dā.era kuchh aur

natīja dekh ke maanā mire masīhā ne

kuchh aur dard thā merā huī davā kuchh aur

maiñ apne aap ko kis ā.īne meñ pahchānūñ

ki ek aks mirā kuchh hai dūsrā kuchh aur

agar kahīñ koī dīvār sāmne aa.ī

buland ho gayā paanī hausla kuchh aur

kuchh aise dekhtā hai vo mujhe ki lagtā hai

dikhā rahā hai mujhe merā aa.ina kuchh aur

natīja dekhne sunñe ke ba.ad ye niklā

bayān-e-vāqi.a kuchh amr-e-vāqi.a kuchh aur

guzar muhāl na hotā hamārā bastī meñ

jo uThtīñ chhoḌ ke dīvāreñ rāsta kuchh aur

Top Urdushayar.com