baat  baḌhtī  ga.ī  aage  mirī  nādānī  se
kitnā  arzāñ  huā  maiñ  apnī  farāvānī  se
ḳhaak  hī  ḳhaak  nazar  aa.ī  mujhe  chāroñ  taraf
jal  ga.e  chāñd  sitāre  mirī  tābānī  se
be-tahāsha  jiye  ham  log  hameñ  hosh  nahīñ
vaqt  ārām  se  guzrā  ki  pareshānī  se
ab  mire  gird  Thahartī  nahīñ  dīvār  koī
bandisheñ  haar  ga.iiñ  be-sar-o-sāmānī  se
aa.egā  aisā  bhī  ik  moḌ  safar  meñ  'rāhī'
gard  bhī  merī  na  pāoge  tum  āsānī  se