Ghulam Murtaza Rahi

na mera zor na bas ab kya hai

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937
na mirā zor na bas ab kyā hai
ai giraftār-e-nafas ab kyā hai
maiñ tire vāste ā.īna thā
apnī sūrat ko taras ab kyā hai
daane daane pe utar aa.e parind
banda-e-dām-e-havas ab kyā hai
kis havā meñ hai tū ai abr-e-karam
ab baras yā na baras ab kyā hai
rahā jab tak rahā samtoñ kā zavāl
aa.ī āvāz-e-jaras ab kyā hai
Top Urdushayar.com