Ghulam Murtaza Rahi

wahi sahil wahi manjdhaar mujhko

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937

vahī sāhil vahī mañjdhār mujh ko

banāyā us ne khevan-hār mujh ko

zabāñ dhaar se dekhā milā kar

lagī kuchh tez kam talvār mujh ko

biThā rakkhā mujhe saa.e meñ jis ne

girānī thī vahī dīvār mujh ko

jinheñ hai naaz apne fāsloñ par

pakaḌne deñ zarā raftār mujh ko

kabhī hotī na phir laḌne himmat

milī ab tak na aisī haar mujh ko

kisī ne bhej kar kāġhaz kashtī

bulāyā hai samundar paar mujh ko

kabhī Duubī na terī naav 'rāhī'

sikhāyā tairnā be-kār mujh ko

Top Urdushayar.com