jo  mujh  pe  bhārī  huī  ek  raat  achchhī  tarah
to  phir  guzar  bhī  ga.e  sānehāt  achchhī  tarah
maiñ  baar  baar  girāyā  gayā  bulandī  se
mujhe  to  ho  gayā  hāsil  sabāt  achchhī  tarah
kitāb  sā  mirā  chehra  tirī  nigāh  meñ  hai
bayān  kar  mirī  zaat  o  sifāt  achchhī  tarah
tū  apne  siine  se  mujh  ko  yuuñ  hī  lagā.e  rakh
samajh  luuñ  tā-ki  tire  dil  kī  baat  achchhī  tarah
tujhe  banāyā  gayā  hai  jo  ashraf-ul-maḳhlūq
samo  ke  zaat  meñ  rakh  kā.enāt  achchhī  tarah
kisī  ne  zahr  milā  kar  na  de  diyā  ho  tujhe
maiñ  chakh  to  luuñ  tire  qand  o  nabāt  achchhī  tarah