Ghulam Murtaza Rahi

kahin kahin se pur-asrar ho liya jae

Ghulam Murtaza Rahi

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1937

kahīñ kahīñ se pur-asrār ho liyā jaa.e

ki apne haq meñ bhī hamvār ho liyā jaa.e

vo jis ne zaḳhm lagā.e rakhegā marham bhī

usī dil se taraf-dār ho liyā jaa.e

yahī hai niind manshā ki ḳhvāb-e-ġhaflat se

sahīh vaqt pe bedār ho liyā jaa.e

girah-kushā.i-e-mauj-e-nafas bahāna hai

ki is bahāne se us paar ho liyā jaa.e

kisī raah meñ aane ye bhī sūrat hai

ki saaya ke liye dīvār ho liyā jaa.e

Top Urdushayar.com