hisār-e-jism  mirā  toḌ-phoḌ  Dālegā
zarūr  koī  mujhe  qaid  se  chhuḌā  legā
banā  ke  jis  ne  mujhe  shāhkār  pesh  kiyā
hazār  ḳhāmiyāñ  mujh  meñ  vahī  nikālegā
maiñ  apnī  jaan  hathelī  pe  rakh  ke  chaltā  huuñ
koī  bahut  se  bahut  mujh  se  aur  kyā  legā
ruke  hue  haiñ  ka.ī  kārvāñ  lab-e-dariyā
ki  jaise  aage  koī  rāsta  nikālegā
ik  ajnabī  ke  lahū  par  thā  sab  kā  haq  'rāhī'
sunā  hai  shahr  kā  har  shaḳhs  ḳhūñ-bahā  legā