nāyāb  chiiz  kaun  sī  bāzār  meñ  nahīñ
lekin  maiñ  un  ke  chand  ḳharīdār  meñ  nahīñ
chhū  kar  bulandiyoñ  ko  palaTnā  hai  ab  mujhe
khāne  ko  mere  ghaas  bhī  kohsār  meñ  nahīñ
aatā  thā  jis  ko  dekh  ke  tasvīr  kā  ḳhayāl
ab  to  vo  kiil  bhī  mirī  dīvār  meñ  nahīñ
irfān-o-āgahī  kī  ye  ham  kis  havā  meñ  haiñ
jumbish  tak  us  ke  parda-e-asrār  meñ  nahīñ
uglā  sā  mujh  meñ  shauq-e-shahādat  nahīñ  agar
pahlī  sī  kaaT  bhī  tirī  talvār  meñ  nahīñ