maujūdgī  kā  us  kī  asar  hone  lagā  hai
sab  us  ke  sivā  mahv-e-nazar  hone  lagā  hai
atrāf  mire  ḳhaak  uḌā  kartī  hai  aksar
tai  ab  mirī  jānib  bhī  safar  hone  lagā  hai
purkhoñ  se  chalī  aatī  hai  ye  naql-e-makānī
ab  mujh  se  bhī  ḳhālī  mirā  ghar  hone  lagā  hai
jaldī  se  maiñ  ab  us  kī  taraf  ruḳh  nahīñ  kartā
ā.īna  mirā  sīna-sipar  hone  lagā  hai
tartīb  anāsir  kī  bigaḌne  lagī  shāyad
aalam  mirā  ab  zer-o-zabar  hone  lagā  hai
ab  sañg-dilī  mujh  se  chhupā.e  nahīñ  chhuptī
āñkhoñ  se  numūdār  sharar  hone  lagā  hai
arsa  koī  darkār  huā  kartā  thā  'rāhī'
ab  roz  koī  mārka  sar  hone  lagā  hai