guloñ  kī  gar  ināyat  ho  ga.ī  to
unheñ  ham  se  mohabbat  ho  ga.ī  to
hameñ  kyuuñ  sauñptā  hai  daulat-e-husn
amānat  meñ  ḳhayānat  ho  ga.ī  to
kisī  kī  bekasī  pe  hañsne  vaale
tirī  bhī  aisī  hālat  ho  ga.ī  to
mujhe  tū  mujh  se  baḌh  kar  chāhtā  hai
mirī  ḳhud  se  adāvat  ho  ga.ī  to
na  lag  hoñThoñ  se  cigarette  kī  tarah  tū
agar  mujh  ko  tirī  lat  ho  ga.ī  to
tū  ḳhud  ko  bad-duā  detā  hai  aksar
ḳhudā  ke  ghar  samā.at  ho  ga.ī  to