khulā  hai  ziist  kā  ik  ḳhushnumā  varaq  phir  se
havā-e-shauq  ne  kī  hai  yahāñ  pe  daq  phir  se
pukārtā  hai  mujhe  kaun  mere  maazī  se
ki  aaj  ruḳh  pe  mire  chhā  ga.ī  shafaq  phir  se
ḳhafā  ḳhafā  se  haiñ  āḳhir  janāb-e-nāseh  kyuuñ
kisī  ne  kar  diyā  kyā  aaj  zikr-e-haq  phir  se
kisī  se  ruuTh  ga.e  yā  kisī  kā  dil  toḌā
jabīñ  pe  aa  gayā  kyuuñ  aap  kī  araq  phir  se
miyān-e-dil  koī  letī  hai  Tiis  añgḌā.ī
vahī  hai  rañj  vahī  ġham  vahī  qalaq  phir  se
na  niklo  chāñdnī  rātoñ  meñ  kitnī  baar  kahā
huā  hai  chāñd  ke  chehre  kā  rañg  faq  phir  se
bas  ek  tajraba  kaafī  hai  zindagī  ke  liye
paḌhā  na  jā.egā  ham  se  vahī  sabaq  phir  se
yahī  nizām-e-zamāna  yahī  taġhayyur  hai
jo  sahl  hai  vahī  ho  jā.egā  adaq  phir  se
kahīñ  qarīb  hī  bādal  baraste  haiñ  'ālok'
havā.eñ  laa.ī  haiñ  ḳhunkī  kī  kuchh  ramaq  phir  se