bhaTkā  karūñgā  kab  tak  rāhoñ  meñ  terī  aa  kar
tujh  ko  bhulā  sukūñ  maiñ  mere  liye  duā  kar
kab  tak  ye  terī  hasrat  kab  tak  ye  merī  vahshat
in  saarī  bandishoñ  se  mujh  ko  kabhī  rihā  kar
ek  umr  se  tujhe  maiñ  be-uzr  pī  rahā  huuñ
tū  bhī  to  pyaas  merī  ai  jaam  pī  liyā  kar
kal  raat  zindagī  ye  mujh  se  taḌap  ke  bolī
kuchh  der  ko  to  ho  kar  merā  bhī  tū  rahā  kar
rishte  ka.ī  sunahre  is  zindagī  se  paa.e
rakkhā  magar  na  ham  ne  un  ko  kabhī  bachā  kar
dil  ke  khañDar  se  panchhī  yādoñ  ke  jā  na  paa.e
dekhā  hai  ham  ne  un  ko  kitnī  hī  baar  uḌā  kar
vo  qurb  ho  ki  duurī  sab  ḳhvāhisheñ  adhūrī
'ālok'  aa  ga.e  haiñ  dariyā  meñ  ham  bahā  kar