har  ek  zehn  meñ  saarā  hisāb  rahtā  hai
savāl  sunñe  se  pahle  javāb  rahtā  hai
vo  ek  moḌ  jahāñ  ek  din  luTā  thā  maiñ
vahīñ  mirā  dil-e-ḳhāna-ḳharāb  rahtā  hai
havā  ke  dam  pe  hai  jab  zindagī  kā  dār-o-madār
to  kyuuñ  ġhurūr  tujhe  ai  habāb  rahtā  hai
chalegī  chaal  koī  gardish-e-falak  shāyad
ka.ī  dinoñ  se  baḌā  iztirāb  rahtā  hai
vo  jholī  kaise  bhare  pyaar  karne  vāloñ  kī
isī  firāq  meñ  TuuTā  shahāb  rahtā  hai
mire  liye  haiñ  musībat  ye  ā.ina-ḳhāne
yahāñ  zamīr  mirā  be-naqāb  rahtā  hai
hasīn  ḳhvāb  hoñ  kitne  hī  par  koī  'ālok'
tamām  umr  kahāñ  mahv-e-ḳhvāb  rahtā  hai