sarāpā  tirā  kyā  qayāmat  nahīñ  hai?
idhar  hashr  sī  dil  kī  hālat  nahīñ  hai
mohabbat  mirī  kyā  ibādat  nahīñ  hai
vo  ik  nuur  hai  jis  kī  sūrat  nahīñ  hai
tire  in  laboñ  ko  maiñ  tashbīh  kyā  duuñ?
ki  phūloñ  meñ  aisī  nazākat  nahīñ  hai
hai  chāhat  kahūñ  ruup  terā  ġhazal  maiñ
magar  mujh  meñ  husn-e-ḳhitābat  nahīñ  hai
bayāñ  ho  rahī  hai  jo  āñkhoñ  se  terī
paḌhī  maiñ  ne  aisī  hikāyat  nahīñ  hai
vo  jab  boltā  hai  madhur  boltā  hai
kisī  shai  meñ  aisī  halāvat  nahīñ  hai
maiñ  tārīf  terī  karūñ  bhī  to  kaise?
zabān-o-bayāñ  par  vo  qudrat  nahīñ  hai
hai  'ālok'  merī  ġhazal  jān-e-mahfil
par  us  ko  jo  bhaa.e  vo  rañgat  nahīñ  hai