hai  añkhḌiyoñ  meñ  niiñd  to  ik  kaam  kījiye
ye  bhī  to  ghar  hai  aap  kā  ārām  kījiye
ye  zo.af  hai  ki  pahuñche  hai  tā-sub.h  ruḳh  talak
gar  zulf  par  nigāh  sar-e-shām  kījiye
kal  maiñ  jo  ye  kahā  ki  kisī  ke  alam  se  aah
mar  jā.iye  bas  aur  na  kuchh  kaam  kījiye
to  vo  sunā  ke  mujh  ko  ye  kahtā  hai  ek  se
kyā  lutf  hai  kisī  ko  jo  badnām  kījiye
is  zindagī  se  khīñchiye  'mehnat'  gar  apnā  haath
phailā  ke  paañv  zauq  se  ārām  kījiye