Tanveer Anjum

tariq koi na aaya mujhe zamane ka

Tanveer Anjum

Karachi, Sindh, Pakistan

1956

tarīq koī na aayā mujhe zamāne

ki ek saudā rahā jins-e-dil luTāne

fareb-e-ḳhvāb mire rāste ko rok nahīñ

ki vaqt-e-shām hai ye ġham-kade ko jaane

tire vajūd se pahchān mujh ko apnī thī

tirā yaqīn thā mujh ko yaqīñ zamāne

ḳharāb-e-ishq huuñ ḳhud maut huuñ maiñ apne liye

sikhā rahī huuñ hunar ḳhud ko dil jalāne

har ek shāḳh-e-sitam se maiñ phuul toḌtī huuñ

huā hai shauq chaman-zār-e-ġham banāne

nasha ajiib hai is jañg-e-be-samar mujhe

ḳhumār ḳhuub hai ḳhūn-e-ḳhirad bahāne

shab-e-visāl meñ ik nuqta-e-tavaqquf huuñ

aur ik junūñ hai use manziloñ ko paane

dil-e-tabāh ko be-dām bech detī huuñ

ki kārobār hai ye jins-e-ġham kamāne

mujhe aziiz hai be-ehtiyātī-e-sāda

na shauq hai na hunar us ko āzmāne

qafas badan mujhe kuchh mirā subūt nahīñ

ye tā.ir-e-dil-o-jāñ lauT kar na aane

Top Urdushayar.com