Tanveer Anjum

aasman-e-yas par khoya sitara DhunDhna

Tanveer Anjum

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
āsmān-e-yās par khoyā sitāra DhūñDhnā
hai dil-e-āzurda ko chehra tumhārā DhūñDhnā
bahr-e-hastī se kahūñ ik pal zarā ik pal Thahar
ek āhista qadam bas hai kināra DhūñDhnā
is ġham-e-daurāñ kī tārīkī meñ ai jān-e-sahar
dil hamārā kho gayā hai dil hamārā DhūñDhnā
ajnabī chehroñ ke pīchhe hai chhipī rah aatmā
un nazāroñ se udhar hai ik nazāra DhūñDhnā
ai shab-e-ġham chhoḌ de dāman-sarā hai ab mujhe
niiñd se uThnā vo ḳhvābīda sharāra DhūñDhnā
ruuh par bhārī rahā bār-e-hayāt-e-sharmsār
kārvāñ meñ ab na tum ham ko dobāra DhūñDhnā
rāh-e-nau par gāmzan ai shahsavār-e-tez-rau
barg-e-gor-e-kohna meñ ik isti.āra DhūñDhnā
vo ta.alluq tujh se hai dil ko ki ai marg-e-azīz
raah meñ āñkheñ bichhā terā ishāra DhūñDhnā
Top Urdushayar.com