Nihal Sevharvi

zindagi zahr ka ek jam hui jati hai

Nihal Sevharvi

Bijnor, Uttar pradesh, India

1901-1951

zindagī zahr ik jaam huī jaatī hai

kyā se kyā ye mai-e-gulfām huī jaatī hai

kuchh gizārī hai ġham-e-ishq-o-mohabbat meñ hayāt

kuchh supurd-e-ġham-e-aiyyām huī jaatī hai

phir kisī mard-e-barāhīm mohtāj hai dahr

phir vahī kasrat-e-asnām huī jaatī hai

havas-e-sair-e-tamāsha hai ki hotī nahīñ ḳhatm

zindagī hai ki subuk-gām huī jaatī hai

jo kabhī ḳhāliq-e-hañgāma-e-tūfāñ thī vo mauj

haif ḳhu-karda-e-ārām huī jaatī hai

sohbat-e-pīr-e-muġhāñ meñ ye khulī azmat-e-ishq

aql bhī durd-e-tah-e-jām huī jaatī hai

tum jo aa.e ho to shakl-e-dar-o-dīvār hai aur

kitnī rañgīn mirī shaam huī jaatī hai

Top Urdushayar.com