malāl  jī  pe  na  yuuñ  ek  chārāgar  ne  liyā
asar  jo  merī  udāsī  kā  bām-o-dar  ne  liyā
baTā  rahā  yūñhī  ġham-hā-e-rozgār  kā  bojh
kuchh  apne  dil  ne  sambhālā  kuchh  apne  sar  ne  liyā
luTe  to  luT  ke  ye  tauqīr  bhī  hamīñ  ko  milī
ga.e  jidhar  bhī  hameñ  sar  pe  rah-guzar  ne  liyā
jo  shīsha  TuuTā  chunā  dil  ne  reza  reza  use
jo  rañg  bikhrā  vo  palkoñ  pe  chashm-e-tar  ne  liyā
ham  aise  ḳhāna-ḳharāboñ  se  aur  kyā  miltā
bas  ek  lutf-e-tamāshā  nazar  nazar  ne  liyā
ye  sochtā  huuñ  to  Dastī  hai  aur  shāḳh-e-chaman
sukūñ  kā  naam  hī  kyuuñ  ik  shikastā-par  ne  liyā
jo  ghar  meñ  par-tav-e-zau  thā  use  bujhā  ga.ī  raat
jo  dil  meñ  virsa-e-ḳhūñ  thā  vo  sab  sahar  ne  liyā
ḳhayāl-e-be-ḳhabrāñ  to  bahut  rahā  un  ko
patā  kuchh  apnā  bhī  yārān-e-bā-ḳhabar  ne  liyā
dil  ashk  ashk  dimāġh  aag  aag  hai  'mahshar'
ye  intiqām  bhī  mujh  se  mire  hunar  ne  liyā