Mahshar Badayuni

ghar se hamein jaane ki zarurat nahin ab kuchh

Mahshar Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1922-1994

ghar se hameñ jaane zarūrat nahīñ ab kuchh

bāhar havā aa ke batā jaatī hai sab kuchh

kyā tez hai ye mausam-e-bārān-e-suḳhan bhī

labrezī-e-dil kuchh hai navā-ḳhezī-e-lab kuchh

kyā dām-e-fusūñ zinda charāġhoñ ke liye the

andāza-e-shab ham ko huā āḳhir-e-shab kuchh

aam itnā rahā shohra-e-zar shor-e-sarā meñ

kaam aa.ī nahīñ narmī-e-tahzīb-o-nasab kuchh

chup haiñ ki ik āshob-e-malāmat meñ ghire haiñ

aa.e the subuk lahje liye ḳhair-talab kuchh

ik shaḳhs se paimān bahut soch ke bāñdhā

phir ham ne tarāshā nahīñ ranjish sabab kuchh

ai zī-hunarāñ tez-ravāñ asr-murīdāñ

ham log duā-go haiñ hamārā bhī adab kuchh

Top Urdushayar.com