apnī  to  mohabbat  kī  itnī  sī  kahānī  hai
TuuTī  hui  kashtī  hai  Thahrā  huā  paanī  hai
ik  phuul  kitāboñ  meñ  dam  toḌ  gayā  lekin
kuchh  yaad  nahīñ  aatā  ye  kis  kī  nishānī  hai
bikhre  hue  pannoñ  se  yādeñ  sī  jhalaktī  haiñ
kuchh  terī  kahānī  hai  kuchh  merī  kahānī  hai
sāvan  kī  bahāroñ  meñ  naġhma  haiñ  na  jhūle  haiñ
ākāsh  kī  āñkhoñ  meñ  rotā  huā  paanī  hai
chehroñ  kī  kitāboñ  meñ  alfāz  nahīñ  hote
har  ek  shikan  ḳhud  meñ  ik  puurī  kahānī  hai
chehroñ  se  to  lagtā  hai  sab  bhuul  ke  baiThe  haiñ
ham  sirf  musāfir  haiñ  ik  raat  bitānī  hai
maanā  ki  inheñ  ik  hī  jhoñke  ne  girāyā  hai
har  TūTte  patte  kī  apnī  hī  kahānī  hai