maiñ  nikal  ke  aa  gayā  huuñ  tirī  bandagī  se  aage
abhī  kitnā  rāsta  hai  mirī  zindagī  se  aage
tirī  sham.a  chhoḌ  aayā  tirī  masjidoñ  meñ  yārab
maiñ  tujhī  ko  DhūñDtā  huuñ  tirī  raushnī  se  aage
mirā  haal  ho  kuchh  aisā  tujhe  pā  ke  bhuul  jā.ūñ
koī  aisī  be-ḳhudī  ho  mirī  be-ḳhudī  se  aage
jahāñ  maut  samjhūñ  apnī  vahīñ  zindagī  javāñ  ho
koī  rāsta  na  pā.ūñ  maiñ  tirī  galī  se  aage
vo  charāġh  jal  na  paa.e  mile  dil  meñ  ai  'musavvir'
koī  aur  shā.irī  hai  mirī  shā.irī  se  aage