Darshan Singh

gham-e-hayat pe KHandan hain tere diwane

Darshan Singh

1921-1989
ġham-e-hayāt pe ḳhandāñ haiñ tere dīvāne
ajiib sāhab-e-irfāñ haiñ tere dīvāne
har ek zarra-e-sahrā hai ā.īna-ḳhāna
hujūm-e-jalva se hairāñ haiñ tere dīvāne dīvāne
na apne hosh kī parvā na apne dard kā fikr
ġham-e-zamīñ se pareshāñ haiñ tere dīvāne
kahāñ ye hosh ki auroñ kī zindagī pe hañseñ
ḳhud apne haal pe ḳhandāñ haiñ tere dīvāne
hujūm-e-ashk meñ chhalkā rahe haiñ paimāna
harīf-e-gardish-e-daurāñ haiñ tere dīvāne
bahār aate hī kyā jaane un pe kyā guzrī
ki ḳhud se dast-o-garebāñ haiñ tere dīvāne
kabhī to ik nigah-e-jāñ-navāz ho jaa.e
hanūz kushta-e-armāñ haiñ tere dīvāne
nishāt-o-dard meñ dekhā hai maiñ ne 'darshan' ko
har ek haal meñ shādāñ haiñ tere dīvāne
Top Urdushayar.com