Darshan Singh

bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar

Darshan Singh

1921-1989
bahut mushkil hai tark-e-ārzū rabt-āshnā ho kar
guzar jā vādī-e-pur-ḳhār se bād-e-sabā ho kar
lagā doge tamannā ke safīne ko kināre se
ma.āz-allāh dāva-e-ḳhudā.ī nā-ḳhudā ho kar
har ik ho silsila rañgīñ gunāhoñ ke salāsil kā
nahīñ āsān duniyā se guzarnā pārsā ho kar
mirī pinhā.ī-e-ilm-o-ḳhabar kī intihā ye hai
ki ik qatre se nā-vāqif huuñ dariyā-āshnā ho kar
kahāñ tāb-e-judā.ī ab to ye mahsūs hotā hai
ki maiñ ḳhud se judā ho jā.ūñgā tum se judā ho kar
tirā dar chhoḌ duuñ lekin tire dar ke sivā saaqī
kahāñ jā.ūñ kidhar jā.ūñ zamāne se ḳhafā ho kar
jo shikva un se karnā thā vo un ke rū-ba-rū 'darshan'
zabāñ tak aate aate rah gayā harf-e-duā ho kar
Top Urdushayar.com