Darshan Singh

raaz ye mujh pe aashkara hai

Darshan Singh

1921-1989

raaz ye mujh pe āshkārā hai

ishq shabnam nahīñ sharārā hai

ik nigāh-e-karam phir us ke ba.ad

umr bhar sitam gavārā hai

raqs meñ haiñ jo sāġhar-o-mīnā

kis nazroñ ye ishārā hai

aisī manzil pe aa gayā huuñ jahāñ

tire ġham ik sahārā hai

lauT aa.e haiñ yaar ke dar se

vaqt ne jab hameñ pukārā hai

dil na TuuTe to zarra-e-nāchīz

kīmiyā hai jo paarā paarā hai

jām-e-rañgīñ meñ un aks-e-jamāl

shafaq meñ koī sitārā hai

naav TukḌe huī hai tūfāñ se

ab to murshid sahārā hai

ishq karnā hai maat khā jaanā

us meñ jiitā huā bhī haarā hai

apne darshan pe ik nigāh-e-karam

vo ġham-e-zindagī maarā hai

Top Urdushayar.com