Syed Manzoor Haidar

kuchh is andaz se hain dasht mein aahu nikal aae

Syed Manzoor Haidar

1933-2001

kuchh is andāz se haiñ dasht meñ aahū nikal aa.e

ki un ko dekh kar phūloñ ke bhī aañsū nikal aa.e

falak ko kaun vaadī barahna-sar nazar aa.ī

garajte bādaloñ ke lashkarī har-sū nikal aa.e

abhī to ek dil darīcha kiyā maiñ ne

yahāñ bahr-e-ziyārat kis qadar jugnū nikal aa.e

jo sajde nahīñ to raqs karne ijāzat ho

kisī siine se jab bāhar tirī ḳhushbū nikal aa.e

isī ummīd par kaaTā safar tārīk rāhoñ

na jaane kaun se gumbad se vo mah-rū nikal aa.e

chaman-zār-e-vafā meñ mausamoñ apnī fitrat hai

burīda ek baazū se ka.ī baazū nikal aa.e

kabhī to ehtiyāt-e-zohd se haa.el hue parde

kabhī mastī meñ bhī tasbīh ke pahlū nikal aa.e

Top Urdushayar.com