Dilshad Naseem

meri KHizan to sabz hui is KHumar mein

Dilshad Naseem

merī ḳhizāñ to sabz huī is ḳhumār meñ
aane kā us ne va.ada kiyā hai bahār meñ
rakkhī huī hai laaj mirī mere ishq ne
varna to kyā rakhā huā hai intizār meñ
ghar bhī mujhe to dasht sā lagtā hai tere bin
lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ
ab jo sulūk tū kare ye zarf hai tirā
maiñ aa ga.ī huuñ aaj tire iḳhtiyār meñ
raushan na ho sakī kabhī ye shām-e-ġham mirī
maiñ ne jalā.e diip ka.ī e'tibār meñ
merī vafā ke zikr pe us kī vo ḳhāmushī
saare javāb mil ga.e is iḳhtisār meñ
dekhī to hogī raah mirī us ne bhī kabhī
aayā bhī hogā ashk mire chashm-e-yār meñ
dekhā hai maiñ ne mo.ajiza 'dilshād' aisā bhī
hañsne se us ke gul khile haiñ kunj-e-ḳhār meñ
Top Urdushayar.com