Arif Abdul Mateen

wo karwan-e-bahaaran ki be-dara hoga

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
vo kārvān-e-bahārāñ ki be-darā hogā
sukūt-e-ġhunche kī manzil pe ruk gayā hogā
bajā ki dil nahīñ zindān-e-be-ḳhudī kā asiir
magar ye qaid-e-anā se kahāñ rahā hogā
shuā-e-mahr kī nazzārgī ke shauq meñ chāñd
falak ke dīda-e-be-ḳhvāb meñ Dhalā hogā
kuchh aisī sahl nahīñ fan kī munfarid taḳhlīq
ḳhudā bhī merī tarah pahroñ sochtā hogā
maiñ tere zehan meñ rach bas gayā huuñ misl-e-ḳhayāl
jidhar bhī jā.egā tū merā sāmnā hogā
bahā ke le bhī gayā merī har matā-e-sukūñ
jo ashk abhī tire ruḳh par nahīñ bahā hogā
ye aarzū hai ki vo din na dekhnā ho nasīb
mire amal se mirā fikr jab ḳhafā hogā
khilā rahā hai jo harf-o-navā ke lāla-o-gul
vo merā nutq nahīñ mauja-e-sabā hogā
Top Urdushayar.com