Arif Abdul Mateen

meri soch laraz uTThi hai dekh ke pyar ka ye aalam

Arif Abdul Mateen

Amritsar, Punjab, India

1923-2001
merī soch laraz uTThī hai dekh ke pyaar kā ye aalam
terī āñkhoñ se Tapkā hai aañsū ban kar merā ġham
dil ko naaz hai suljhāv par lekin maiñ ne dekhā hai
suljhāne se aur uljhā hai terī zulf kā ik ik ḳham
din ke bolte hañgāme meñ akasr soyā rahtā hai
karvaT le kar jaag uThtā hai raat kī chup meñ terā ġham
hijr ke sañvlā.e lamhoñ meñ aas bhī tanhā chhoḌ ga.ī
kis se pūchhūñ kaun batā.e raat huī hai kitnī kam
terī dhun meñ tujh se bhī shāyad aage jā niklā huuñ maiñ
tere pahlū meñ baiThā huuñ phir bhī āñkheñ haiñ pur-nam
terā ġham ham dīvānoñ ko kis aalam meñ chhoḌ gayā
ek zamāna ham se ḳhafā hai ek jahāñ se ham barham
Top Urdushayar.com