kitnī  mushkil  se  ġham-e-dost  bayāñ  hotā  hai
ashk  thamtā  hai  na  āñkhoñ  se  ravāñ  hotā  hai
mutrib-e-vaqt  kā  āhañg  badal  detā  huuñ
jab  tire  āriz-o-gesū  kā  bayāñ  hotā  hai
rañg-o-bū  ban  ke  jo  uḌtā  hai  shabistānoñ  meñ
vo  bhī  hasrat  ke  charāġhoñ  kā  dhuāñ  hotā  hai
zindagī  jabr  ke  dāman  meñ  janam  letī  hai
aadmī  daar  ke  saa.e  meñ  javāñ  hotā  hai
Thahar  jaatā  huuñ  tah-e-zulf-e-nigār-e-fardā
bār-e-imroz  jo  shānoñ  pe  garāñ  hotā  hai
zindagī  kyā  hai  bas  ik  ḳhāna-e-mātam  'jāved'
dil  dhaḌaktā  hai  to  ehsās-e-fuġhāñ  hotā  hai