ye  kis  kā  jalva-e-hairat-fazā  nigāh  meñ  hai
ki  pā-e-shauq  guzargāh-e-mehr-o-māh  meñ  hai
hazār  manzil-e-rāh-e-junūñ  tamām  huī
hazār  manzil-e-ahl-e-junūñ  nigāh  meñ  hai
bulandiyoñ  se  guzar  kar  ḳhirad  kā  haal  na  pūchh
bas  ik  ġhubār-e-tahayyur  liye  nigāh  meñ  hai
azīz-tar  tirī  bāteñ  ki  is  sukūt  ke  saath
tamām  shoḳhī-e-lafz-o-bayāñ  nigāh  meñ  hai
faroġh-e-jalva-e-ummīd  terī  umr  darāz
siyāh  raat  hai  sar  par  sahar  nigāh  meñ  hai
kis  ehtimām  se  hai  āmad-e-urūs-e-sahar
ki  āhaToñ  kā  tarannum  tamām  raah  meñ  hai
kahāñ  hai  tāb-e-nazar  ahl-e-dil  kī  mahfil  meñ
kise  majāl-e-suḳhan  un  kī  bārgāh  meñ  hai