har  nafas  dīda-e-dil  meñ  tirī  yādoñ  kā  hujūm
har  ghaḌī  mujh  pe  qayāmat  kā  guzar  nā-mālūm
aañkh  se  dil  meñ  utartī  huī  yādoñ  kī  barāt
dasht-e-tanhā.ī  meñ  TuuTe  hue  tāroñ  kā  hujūm
is  qadar  paas  ki  jaise  mire  dil  kī  āvāz
is  qadar  duur  ki  jaise  ho  sadā-e-mauhūm
ai  dil-e-ḳhāk-basar  terī  tabāhī  taslīm
haañ  dil-e-sāda-nazar  terī  ḳhatā.eñ  mālūm
har  ghaḌī  yaad  meñ  guzrī  shab-e-mātam  kī  tarah
phir  bhī  ai  ishq-e-siyah-posh  unheñ  kyā  mālūm
kal  kā  din  apnī  bahāroñ  ko  liye  ḳhatm  huā
kal  kī  har  baat  huī  naqsh-e-vafā-e-mauhūm