Sikandar Ali Wajd

kaif jo ruh pe tari hai tujhe kya malum

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983

kaif jo ruuh pe taarī hai tujhe kyā mālūm

umr āñkhoñ meñ guzārī hai tujhe kyā mālūm

nigah-e-avval-e-bebāk ne mere dil par

terī tasvīr utārī hai tujhe kyā mālūm

mehr qahr tire chāhne vaale ke liye

har adā jaan se pyārī hai tujhe kyā mālūm

vaqt kaTtā nahīñ sub.h-e-masarrat aa

raat bīmār pe bhārī hai tujhe kyā mālūm

ek muddat se yahāñ umr-e-ravāñ tere baġhair

vaqf-e-ālām-shumārī hai tujhe kyā mālūm

ḳhanda-zan sūrat-e-gul dāman-e-sad-chāk mirā

parcham-e-fasl-e-bahārī hai tujhe kyā mālūm

gul-e-nau-ḳhāsta kāñToñ ko haqārat se na dekh

kis taqdīr meñ ḳhvārī hai tujhe kyā mālūm

'vajd' nā-paidi-e-ehsās-e-masarrat sabab

ādat-e-girya-o-zārī hai tujhe kyā mālūm

Top Urdushayar.com