Imdad Ali Bahr

KHub-ruyan-e-jahan chand ki tanwiren hain

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ḳhūb-ruyān-e-jahāñ chāñd kī tanvīreñ haiñ
putliyāñ āñkhoñ kī raushan hoñ vo tasvīreñ haiñ
sher-goyoñ ko mazāmīn kī tauqīreñ haiñ
kahne ko ek zamīñ saikḌoñ jāgīreñ haiñ
yaar se hotī hai gustāḳh jo hotī ho so ho
zulfeñ hāthoñ meñ haiñ yā paañv meñ zanjīreñ haiñ
koī ādāb-e-mohabbat ko bhalā kyā jaa.e
zillateñ jitnī haiñ āshiq kī vo tauqīreñ haiñ
karūñ tauba jo ho paidā bun-e-har-mū se zabāñ
jitne haiñ mū-e-badan utnī hī taqsīreñ haiñ
vo bhaveñ maar utāreñge kisī din mujh ko
jin ke qabze meñ qazā hai ye vo shamshīreñ haiñ
qaul-e-haq par hue kab muttafiq ahl-e-duniyā
ek qur.ān hai jis kī ka.ī tafsīreñ haiñ
kyā yaqīñ aa.e mujhe hāl-e-bahisht-o-dozaḳh
maiñ huuñ jis ḳhvāb meñ sab us kī ye ta.abīreñ haiñ
saat dozaḳh kiye ḳhalq us ne karīmī us kī
ek hafte kī hamāre liye ta.azīreñ haiñ
chaar īñTeñ huiiñ kis ke na mahall-e-naḳhvat
maqbare aaj salātīn kī tāmīreñ haiñ
ek zarre ko jo qismat se na jumbish ho na ho
ḳhaak uḌāne ko to āñdhī mirī tadbīreñ haiñ
koī ḳhush-ḳhvān ho qāsid to bahut behtar hai
mere naame meñ tarāne kī bhī tahrīreñ haiñ
haDDiyāñ jism meñ jaltī haiñ palīte kī tarah
ishq ke ism-e-jalālī kī ye tāsīreñ haiñ
dil ko har-vaqt jo rahtī hai butoñ kī tasbīh
apne nāloñ ko samajhtā huuñ kī takbīreñ haiñ
'bahr' arzhañg-e-jahāñ kā na tamāshā.ī ho
jin kā saaya hai balā us meñ vo tasvīreñ haiñ
Top Urdushayar.com