Anjum Khaleeq

yahan jo zaKHm milte hain wo silte hain yahin mere

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950

yahāñ jo zaḳhm milte haiñ vo silte haiñ yahīñ mere

tumhāre shahr ke sab log to dushman nahīñ mere

talāsh-e-ahd-e-rafta meñ ajā.ib-ghar bhī dekhe haiñ

vahāñ bhī sab havāle haiñ kahīñ tere kahīñ mere

zarā maiñ ne tarjīhāt tartīb badlī thī

ki aapas meñ ulajh kar rah ga.e duniyā o diiñ mere

falak had hai ki sarhad hai zamīñ ma.adan hai madfan

mujhe bechain rakhte haiñ ye vahm o yaqīñ mere

maiñ tere zulm kaise hashr tak sahtā chalā jā.ūñ

bas ab to faisle hoñge yahīñ tere yahīñ mere

achānak kis tarah āḳhir ye duniyā chhoḌ saktā huuñ

ḳhazāne jā-ba-jā madfūn haiñ zer-e-zamīñ mere

to jab mere kiye par hai mirā anjām phir anjām

ye maazī haal mustaqbil to haiñ zer-e-nagīñ mere

Top Urdushayar.com