Imdad Ali Bahr

jis ko chaho tum usko bhar do

Imdad Ali Bahr

1810-1878

jis ko chāho tum us ko bhar do

maah ko nuqra mehr ko zar do

pīr-e-muġhāñ se arz ye kar do

dakhkhin baḳhsho agar sāġhar do

aah ye donoñ āfat-e-jāñ haiñ

nāz-o-adā la.anat bar har do

jaltā hai aah ke jhoñko

sham-e-mohabbat ko gul kar do

qatra-fishānī kyā ai āñkho

aise barso jal-thal bhar do

bulbulo sayyād aaj ḳhafā hai

halq chhurī ke nīche dhar do

jaan un āñkhoñ se na bachegī

ye hai idhar tanhā vo udhar do

dam āmad-o-shud kyā kahiye

zo.af raah se haiñ ye safar do

apnā galā ḳhud kāTte haiñ ham

dam lo chhurī tale be-dardo

jān-o-māl fidā karne meñ

fikr-o-taraddud ai nā-mardo

arz ye hai naqqāsh-e-azal se

hub ke naqsh meñ yaar ko ghar do

daulat-e-dil tum to hāzir hai

ḳhatt-e-ezār tamassuk kar do

shukr-guzār ba-har-sūrat haiñ

zahar hameñ do shakkar do

āñkhoñ meñ hai mavād-e-girya

'bahr' in phoḌoñ ko nashtar do

Top Urdushayar.com