Imdad Ali Bahr

sina-kubi kar chuke gham kar chuke

Imdad Ali Bahr

1810-1878
sīna-kūbī kar chuke ġham kar chuke
jīte-jī ham apnā mātam kar chuke
dekhiye milte haiñ kis din yaar se
iid bhī kar leñ moharram kar chuke
dhyān un āñkhoñ kā jaane kā nahīñ
ye hiran paale hue ram kar chuke
dil lagā kar dukh uThā.e be-shumār
dam-shumārī bhī koī dam kar chuke
ab kahāñ misl-e-anāsir ittihād
chaar din vo rabt-e-bāham kar chuke
ab to zulfoñ ko na rakkho fard fard
daftar-e-ālam ko barham kar chuke
ḳhaak ab in āñsuoñ ko rokiye
ye hameñ rusvā-e-ālam kar chuke
dīda-o-dil kī badaulat ishq haiñ
ro.e barsoñ muddatoñ ġham kar chuke
vo hameñ miltā nahīñ kyā kījiye
apnī sī to just-o-jū ham kar chuke
vā.izo jo chāho farmāo hameñ
bai.at-e-pīr-e-muġhāñ ham kar chuke
'bahr' mustaġhnī haiñ fikr-e-sher se
gauhar-e-ma.anī farāham kar chuke
Top Urdushayar.com