Meeraji

chand sitare qaid hain sare waqt ke bandi-KHane mein

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949
chāñd sitāre qaid haiñ saare vaqt ke bandī-ḳhāne meñ
lekin maiñ āzād huuñ saaqī chhoTe se paimāne meñ
umr hai faanī umr hai baaqī is kī kuchh parvā hī nahīñ
tū ye kah de vaqt lagegā kitnā aane jaane meñ
tujh se duurī duurī kab thī paas aur duur to dhokā haiñ
farq nahīñ anmol ratan ko kho kar phir se paane meñ
do pal kī thī andhī javānī nā-dānī kī bhar paayā
umr bhalā kyuuñ biite saarī ro ro kar pachhtāne meñ
pahle terā dīvāna thā ab hai apnā dīvāna
pāgal-pan hai vaisā hī kuchh farq nahīñ dīvāne meñ
ḳhushiyāñ aa.iiñ achchhā aa.iiñ mujh ko kyā ehsās nahīñ
sudh-budh saarī bhuul gayā huuñ dukh ke giit sunāne meñ
apnī biitī kaise sunā.eñ mad-mastī kī bāteñ haiñ
'mīrā-jī' kā jīvan biitā paas ke ik mai-ḳhāne meñ
Top Urdushayar.com