Imdad Ali Bahr

KHurshid-ruKHon ka samna hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ḳhurshīd-ruḳhoñ kā sāmnā hai
shabnam-sifat aabrū havā hai
dil zaḳhmī-e-ishq hai sazā hai
bhar duuñ jo namak to phir mazā hai
ab to dil us par aa gayā hai
achchhā hai burā hai yā bhalā hai
bainnul-a.ād meñ aadmī hai
duniyā ek beach kī sirā hai
aisī hai malāhat us ke muñh par
ruḳhsār kā sabza lo nayā hai
iksīr hai dil kī ḳhāksārī
kushta ho jo nafas-e-kīmiyā hai
mun.im na kar e.atibār-e-daulat
iqbāl kā qalb lā-baqā hai
vo dil na rahā jā naaz uThā.ūñ
maiñ bhī huuñ ḳhafā jo vo ḳhafā hai
kam hai jo sitam ho tujh par ai dil
be-rahm se aur mil sazā hai
dil tum ko to phir kisī din
pyaar koī tum se bhī sivā hai
achchhī nahīñ ye ḳhalish raqībo
kāñTe bo kar koī phalā hai
ham dekheñ maze raqīb luuTe
yuuñ us se bhī to kyā mazā hai
dam siine se kyuuñ nahīñ nikaltā
kyā jism-e-nazār ḳhār-e-pā hai
daulat se kabhī na ser hoñge
shāhoñ ko faqīr kī duā hai
chhuptā nahīñ koī apne dil meñ
āñkhoñ meñ vahī khaTak rahā hai
is rañj meñ bhī nibāh deñge
apnā abhī itnā hausla hai
ai 'bahr' ġhazal kahī jo tum ne
ye tarz-e-kalām 'mīr' kā hai
Top Urdushayar.com