Imdad Ali Bahr

ye dil hai to aafat mein paDte rahenge

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ye dil hai to aafat meñ paḌte raheñge
yuuñ hī eḌiyāñ ham ragaḌte raheñge
mohabbat hai bad-nām kyuuñ kar banegī
vo ham se hamesha bigaḌte raheñge
agar ishq rakhtā hai to aql kho de
ye donoñ raheñge to laḌte raheñge
bure din burī sā.ateñ ishq meñ haiñ
sab ahbāb ham se bichhaḌte raheñge
vo sar kaaT Dāleñ hamārā to kyā ġham
ġharaz aise hī paañv paḌte raheñge
kahīñ āshiqoñ kā Thikānā nahīñ hai
zamāne meñ bastī ujaḌte raheñge
junūñ ne tamāshā banāyā hai ham ko
darīchoñ ke parde udhaḌte raheñge
kabhī zulf se ho sakeñge na sar-bar
isī pech se ham pichhaḌte raheñge
na ḳhat bhejnā ham se mauqūf hogā
kabūtar kī shah par ukhaḌte raheñge
jo kuchh ham ne chāhā unhoñ ne na chāhā
ham is mas.ale meñ jhagaḌte raheñge
ġham-o-dard zevar hai ham āshiqoñ kā
nagīñ daaġh ke dil meñ jaḌte raheñge
qadam mai-kade se na niklegā bāhar
yahīñ nashshe meñ girte-paḌte raheñge
judā.ī meñ ai 'bahr' marnā bhalā hai
jiyeñge to ḳhiffat se gaḌte raheñge
Top Urdushayar.com