maiñ  kyā  huuñ  kaun  huuñ  ye  bhī  ḳhabar  nahīñ  mujh  ko
vo  is  tarah  mirī  hastī  pe  chhā.e  jaate  haiñ
ḳhayāl  hī  abhī  aayā  thā  kū-e-jānāñ  kā
ye  haal  hai  ki  qadam  Dagmagā.e  jaate  haiñ
vo  pūchhte  haiñ  dil-e-mubtalā  kā  haal  aur  ham
javāb  meñ  faqat  aañsū  bahā.e  jaate  haiñ
kahāñ  hai  shauq  batā  ġhairat-e-kashish  terī
vo  merī  ḳhaak  se  dāman  bachā.e  jaate  haiñ
miTā  rahe  haiñ  vo  kyuuñ  dāġh-hā-e-dil  'hādī'
charāġh  kyuuñ  ye  jalā  kar  bujhā.e  jaate  haiñ