ashk-e-ġham  uqda-kushā-e-ḳhalish-e-jāñ  niklā
jis  ko  dushvār  maiñ  samjhā  thā  vo  āsāñ  niklā
kis  qadar  dast-e-junūñ  be-sar-o-sāmāñ  niklā
tujh  maiñ  ik  taar  na  ai  chāk-girebāñ  niklā
uf  vo  taqdīr  jo  tadbīr  kī  pāband  rahī
haif  vo  dard  jo  minnat-kash-e-darmāñ  niklā
ḳhaak  ho  kar  bhī  rahā  jalva-tarāzī  kā  dimāġh
merā  har  zarra-e-dil  tūr-badāmāñ  niklā
al-amāñ  vo  ḳhalish-e-jāñ  jo  miTā.e  na  miTī
haa.e  vo  dam  jo  ba-sad-kāvish-e-pinhāñ  niklā