jaate  hai  ḳhānqāh  se  vaa.iz  salām  hai
ham  dair  se  chale  sanam  ab  raam  raam  hai
sūrat  vo  sāñvlī  ki  kanhayyā  ġhulām  hai
mere  sanam  se  ḳhūb-tar  allāh  kā  naam  hai
dar-pesh  hai  vo  manzil-e-nā-tāqatī  hameñ
uTThe  jo  ham-safar  hai  jo  baiThe  maqām  hai
sayyād  hī  bahār  ke  parde  meñ  bulbulo
har  ġhuncha  hai  qafas  rag-e-gul  tār-e-rām  hai
kyuuñ  kar  na  merī  yaad  farāmosh  ho  use
samjhā  hai  yaar  nañg  jise  merā  naam  hai
merā  lahū  chaTā.egā  jab  tak  na  teġh  ko
qātil  ko  dahne  haath  kā  khānā  harām  hai
saaqī  se  ho  jo  dil-shikanī  bhī  to  lutf  hai
TuuTā  jo  shīsha  merī  baġhal  kā  to  jaam  hai
fasl-e-bahār  baat  kī  baat  is  chaman  meñ  hai
āvāz-e-ġhuncha  ruḳhsat-e-gul  kā  payām  hai
mastī  Tapak  rahī  hai  yahāñ  baal  baal  se
tan  meñ  lahū  nahīñ  ye  mai-e-la.al-fām  hai
tahrīr-e-hāl  kī  kise  tāqat  hai  nāma-bar
hai  jaan  hoñToñ  par  ye  zabānī  payām  hai
vo  māh-rū  chhupā  hai  mahāq-e-hijāb  meñ
āshiq  ke  zindagī  kā  mahīna  tamām  hai
samjhe  raheñ  bahut  mire  kam-mā.egī  harīf
qatra  vo  huuñ  ki  aaj  mirā  'bahr'  naam  hai