tumheñ  bhī  mālūm  ho  haqīqat  kuchh  apnī  rañgīñ-adā.iyoñ  kī
kabhī  use  chheḌ  kar  to  dekho  jo  lai  mire  dil  kī  saaz  meñ  hai
abhī  to  ik  qatra  hī  girā  thā  ki  jis  se  halchal  meñ  hai  zamāna
ḳhudā  hī  jaane  ki  kitnī  quvvat  dil-e-hazīñ  ke  gudāz  meñ  hai
ilāhī  ḳhair  us  ke  sañg-e-dar  kī  na  ho  kahīñ  sarf-e-shauq  vo  bhī
ki  zauq-e-sajda  kī  ek  duniyā  mirī  jabīn-e-niyāz  meñ  hai