Maqbool Naqsh

dil ka ek ik dagh sham-e-zer-e-daman ho gaya

Maqbool Naqsh

Tatanagar, Jharkhand, India

-2005

dil ik ik daaġh sham-e-zer-e-dāmāñ ho gayā

ham jahāñ pahuñche vahīñ jashn-e-charāġhāñ ho gayā

chāk-e-dil baat thī chāk-e-jigar baat thī

muft meñ rusvā mirā chāk-e-garebāñ ho gayā

raqs kar yuuñ ek ik band-e-anāsir TuuT jaa.e

ai junūñ pābandiyoñ se dil pareshāñ ho gayā

kis se pūchhūñ irtiqā kaun manzil hai ye

aadmī ḳhud aadmī dushman-e-jāñ ho gayā

chhoḌiye afsāna-e-insāñ ko insāñ ab kahāñ

vo to bechāra halāk-e-kufr-o-īmāñ ho gayā

phuul mahrūm-e-tabassum aur sabā ma.azūr-e-raqs

ye gulistāñ kyā huā ai 'naqsh' zindāñ ho gayā

Top Urdushayar.com