Daood Mohsin

zindan mein hun main shahr-e-nigaran se kya mujhe

Daood Mohsin

Davanagere, Karnataka, India

1962

zindāñ meñ huuñ maiñ shahr-e-nigārāñ se kyā mujhe

is gulsitāñ bād-e-bahārāñ se kiyā mujhe

vo kaam apnā kar gayā ehtiyāt se

yuuñ dekhte ho dīda-e-hairāñ se kyā mujhe

vīrāniyāñ haiñ gor-e-ġharībāñ har taraf

lenā hai aaj shahr-e-daraḳhshāñ se kyā mujhe

chhūne lage haiñ haath mire mehr-o-māh ko

mahfil āb-o-tāb-e-charāġhāñ se kyā mujhe

hāthoñ ko zaḳhm qalb ko māyūsiyāñ milīñ

is ke sivā milā hai gulistāñ se kyā mujhe

'mohsin' shab-e-siyāh maarā huā huuñ maiñ

ab vāsta ho sham-e-shabistāñ se kyā mujhe

Top Urdushayar.com