abhī  abhī  jo  falak  paar  se  guzāre  ga.e
tumhārī  aañkh  se  aise  ka.ī  sitāre  ga.e
tumhāre  hoñT  se  nikle  har  ek  lafz  kī  ḳhair
ki  jaise  un  pe  gulāboñ  ke  phuul  vaare  ga.e
kisī  ne  niiñd  meñ  aa  kar  nahīñ  chhuā  ham  ko
ye  baal  ḳhvāb  meñ  rah  kar  nahīñ  sañvāre  ga.e
pahal  pahal  to  vo  hoñToñ  se  dekhe  jaate  rahe
phir  us  ke  ba.ad  mirī  aañkh  se  pukāre  ga.e
tire  visāl  kī  ḳhvāhish  kahīñ  pe  rakkhī  ga.ī
tire  visāl  ke  arse  kahīñ  guzāre  ga.e
magar  vo  lahr  hamārī  taraf  nahīñ  palTī
agarche  dhyān  bahut  us  taraf  hamāre  ga.e
tumhāre  jaane  se  kuchh  ḳhaas  to  nahīñ  huā  bas
charāġh  rakkhe  ga.e  ā.īne  utāre  ga.e