is  qadar  afsurdagī  mahsūs  kī
maiñ  ne  jab  us  kī  kamī  mahsūs  kī
raat  meñ  soyā  thā  dariyā  ke  qarīb
ḳhvāb  meñ  ik  jal-parī  mahsūs  kī
us  ke  aane  kā  yaqīñ  baḌhne  lagā
farsh-e-dil  par  ghaas  ugī  mahsūs  kī
aaj  phir  vo  dar  khulā  thā  dhyān  meñ
aur  ik  dīvār  sī  mahsūs  kī
vaqt  kā  karne  lage  ham  ehtirām
har  mohabbat  āḳhirī  mahsūs  kī
maut  jis  din  chhū  ke  guzrī  thī  mujhe
maiñ  ne  us  din  zindagī  mahsūs  kī
aaj  maañ  ghar  pe  nahīñ  thī  aur  phir
ham  ne  kitnī  be-gharī  mahsūs  kī
vaqt  us  ne  mujh  se  pūchhā  thā  'vasīm'
sab  ne  hāthoñ  meñ  ghaḌī  mahsūs  kī